youtube

ek nayi sonch ek sapna

ek nayi sonch ek sapna
ek nayi sonch ek sapna
maine kal ek sapna dekha.............................

in village 

mai bister se utha news paper padhne ke liye hath me liya  aur usme  ,mazak, jokes, comedy aur is desh ke bare me likha tha. taiyar ho kar mai ghar ke bahar nikla petrol tanki par petrol dalwane gya to dekha wallet me paise nahi the but wahan par ek swipe machine thi, mujhe bahut khushi hue ATM jana padta aur chhutte bhi to nahi rahte ATM me, fir mai apne doston se milne shahar gya jo ki 5km ki doori par hai, to raste me bike cheking chal rha tha mujhe dikha nahi aur traffic hawaldar ne punchha tumhare gadi ke paper dikhao, maine kaha mujhe gadi cheking kis liye kar rahe ho uska pepar dikhao, unhone dikhaya, fir unhonne puchha helmet kahan hai maine kaha ghar par bhul gya, to unhon ne kaha, kitni doori par hai tumhara ghar, maine kaha 1km, fir unhonne kaha jao helmet lekar aa jao, mujhe bahut khushi hue, fine pad karne se achchha unhonne mujhe helmet lene ke liye ghar bhej diya.
                         





 maine ghar se helmet le kar aaya aur unhone mujhe nahi roka aur jis inshan ka helmet, gadi ka pepar, licence nahi tha unhe online swipe se fine dena pad rha tha. fir mai aage bardha aur dekha road lines ekdam se bahut achchhi ho gyi thi, road par ek bhi gaddha nahi tha, charon taraf hariyali chhayi hue thi,hare bhare ghas the, mujhe bahut khushi hue.
                            shahar me sab jagah naliyan ban gyi thi, kal tak jo dukane jhopdpattiyon me thi unhen ek nya aur achchha stall mil gya tha aur itni saf safai mujhe beintehan khushi ho rahi thi. sadak me ek bhi bhikhari nahi the sabko free me aawas mil gya tha, private school band ho gye the aur poore desh ke bachchhon ka uniform ek tha aankhen aansuon se bhar gyi, maine soncha mere ghar ke bachchon ka uniform aur is desh ke sabse amir inshan ke bachchon ka uniform ek ho gya hai. ab sabko saman shiksha milegi.
                            kal tak jo bachche sadak ke kinare mujhse khane ke liye bhik mangte the unhe school uniform me school jate dekh mujhe laga satyug aa gya.un bachchon aur unke besahara pariwaron ke liye har jile me ek aashram ban gya hai.wo bhi goverment ke dwara. maine kaha waah !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! Amezing
                          sabhi berojgaron ko job mil gya tha, garibon ko samhalne ke liye worker, unhe khana khilane ke liye anekon har jila me job hi job tha.garibon kjo mennage karne ke liye, shahar ki dekhbhal ke liye, sabhi tarah ke kaam ke liye govt. office.
                           fir mujhe hospital dikha, kal tak jo aalishan hospital private tha wo ab govt. bn gya tha mujhe lga ki aaj mai apne is desh ko sone ki chidiya bol sakta hoon, khushi ke aansu bah rahe the. mujhe lga khuda mil gya is jahan me.
                             poora desh online ho gya tha aur sabhi chijen govt. ki ho gyi thi jisase bhrashtachar mit gya tha. school, collage, hospital

tabhi meri aankhen khuli aur dekha ye sab ek sapna hai, fir se aankhon me aansu aa gye but dukh ke aansu the ye.
                               plz help my india and india's people.
Previous
Next Post »

Thanks ConversionConversion EmoticonEmoticon